Wednesday, September 12, 2012

BADKISMAT MAA BAAP KI KAHANI...

Suno suno ek kahani sunata hu abhage maa baap ki...
Badi mashakat se ki thi parvrish jinho ne apne aulad ki...

Baap kadi mehanat kar ke khoon ko paseene ki tar
ah bhata tha...
Khud ki mehanat se wo logo ke mahal banata tha...

Maa ghar ghar kaam karke do char paise lati thi...
Bete ko khoob khilati aur khub bhana bna bhookhi so jati thi...

Dono ka sapna tha ke beta padh likh kar kuchh kam kare...
Hamari to beet gyi gumnami me ye to kuchh naam kare...

Dekhte dekhte waqt guzarta gya...
Beta waqt ke sath apni raftar se badhta gya...

School tak to halat uski thik hi rahi...
Clg me jakar uski sangatee bigadti gyii...

Dost ban gye uske kuchh amir ghrane ke bache...
Jo the dil se bhi kache dimag se bhi kache...

Ye bhi unki tarah shokhiniya karne jaga...
Pahle jhoth bolta phir jab baat na bani to paise ke liye maa bap se jhagdne laga...

Maa baap paise dete gye is aas me ke kal ko beta khoob kmayega...
Hamari to kat gyi kam se kam apne dukh mitayega...

Magar bete ke to yaha alag rang the...
Sab uske karnamo ko dekh ho rahe dang the...

Sharab jua aur ladkiya uska shokh ban gyi...
Ameero ki shokhinya uske khoon me ram gyi...

Jis maa baap ne use khoon pila kar bada bnaya tha...
Dosto ko usne inhe apna naukar btaya tha...

maa baap ka vishvash tha is pe se uthne laga...
unka eklota shara tha chhootne laga...

isi gum ko jhelte huye wo dono is duniya se chal base...
is abhage ke sar pe ab undono ke saye na rahe...

sare dost bhi ab isko thukra gye...
sare shokh bhi iske murjha gye...

nashe ki lat ise pagal bnane lagi...
tanhai ise thi satane lagi..

dekhte dekhte ladka puri tarah pagla gya...
tadfa hua ek din duniya se chala tha gya...

maa baap ka dil dukhaya uski saza use bhugatni padi...
jidhar bhi gya mout uske samne thi khadi....

duniya me har gunaah ki maafi bani hai...
lekin maa baap ke dil dukhane ki koi mafi nahi...
@sourabh

1 comment: