Saturday, March 9, 2013

Jab Ladki Apna Sab Kuch Chhod Kar Dusre Ghar Jaati Hai

http://www.facebook.com/KoiDivanaKahataHaiKoiPagalaSamajhataHai?ref=hlDekho Dosto Aaj Ye Kitna Ajeeb Manzar He...
Aaj Chhod Kar Jana Muje Khud Apna Hi Ghar He..

Sochti Hu Kyu Taqdeer Hamari Aesi Banayi He..
Ya Fir Ham Par Khuda Ka Ye Koi Karam He..

Jis Ghar Me Bitaya Bachpan Aur Jawani Apni..
Jis Ghar Se Judi Hamari Har Dhadkan He..

Aaj Usi Ghar Ko Alwida Kahe Ja Rahi Hu..
Chera Udaas Aur Aankhe Aansuo Se Tar He...

Wo Galiya Jaha Roj Me Sakhiyo Se Mila Karti Thi..
Aaj Wo Hasti Galiya Bhi Jese Suna Samunder He..

Wo Mere Bhai Jo Kabhi Mujse Roj Lada Karte The..
Aaj Unki Bhi Nazre Zuki Aur Aankhe Nam He..

Meri Maa Jo Haste Haste Meri Shadi Ki Baat Karti Thi..
Aaj Isi Din Par Aankho Ke Sath Sath Roti Uski Har Dhadkan He.

Papa Mere Jo Meri Har Baat Par Daanta Karte The..
Aaj Rote Rote Zuka Dekho Unka Bhi Sar He..

Me Janu Ye Bhi Ki Aankho Se Beh Rahe He Aansu Unke..
Par Khusi Se Zumta Hua Mere Maa Baap Ka Man He..

Kehte The Mere Bhai Ki Kash Tu Jaye Jaldi Ye Ghar Se..
Aaj Ja Rahi Hu To Ro Rahe , Najane Ab Unhe Kya Dar He..

Dekho Yaha Har Koi Muje Ab Aakhri Salam Kar Raha He..
Jese Meri Zindagi Ka Yaha Hone Wala Ye Aakhri Safar He..

Sabki Baat Kehdi Par Kisi Ne Mere Haal Na Pucha...?
Ki In Sabke Bich Kesa Mera Haal - Ae - Gujar He...?

Ek Taraf Hasi Aur Dusri Aur Aansu Beh Rahe He Aankho Se..
Sochti Hu Kitna Ajeeb Aye Khuda Ye Manzar He..

Is Ghar Ko Chhod Kar Ja Rahi Hu Apne Pyar Ke Ghar..
Khatam Hua Ek Safar , Ab Aage Dusra Safar He..

Aye Mere Yaaro Me Aaj Ye Ghar Se Ja To Rahi Hu..
Par Isi Ghar Se Juda Mera Pura Bachpan He..

Aye Dosto Ab Aakhri Salam Ki Muje Ab Jana Hoga..
Kyuki Intezar Me Bechain Wo Mera Hamsafar He..

Ab Me Uski Ho Chuki Ki Wo Hi Mera Sar Taaj He...
Ab Uska Ghar Hi Yaaro Mere Liye Mera Ghar He..

Haste Haste Ek Baar Kehdo Sab Ki Aati Rehna Yaha..
Ki Tu Jaa To Rahi Yaha Se Par Ye Ab Bhi Tera Hi Ghar He..

Aakhir Alwida Sabko Meri Aur Se Yaaro Kyuki..
Aaj Chhod Kar Jana Muje Khud Apna Hi Ghar He........@diwana

No comments:

Post a Comment